KHuda ki mar wo ayyam-e-shor-o-shar guzre
wo jin sawar tha sar par ki sar se dar-guzre
halal bhi mere haq mein haram wawaila
nigah-e-shauq se kya kya gul-o-samar guzre
jo sabz-bagh-e-tamanna pe pher de pani
KHuda bachae hum aisi nazar se dar-guzre
nikale aib mein sau husn husn mein sau aib
KHayal hi to hai jaisa bandhe jidhar guzre
zamin panw tale se nikal gai to kya
hum apni dhun mein zamane se be-KHabar guzre
maza na pochhiye wallah dil dukhane ka
kahan ka KHauf-e-KHuda Than li to kar guzre
adab ke waste kitnon ke dil dukhae hain
'yagana' had se guzarna na tha magar guzre
Ghazal
KHuda ki mar wo ayyam-e-shor-o-shar guzre
Yagana Changezi