KHuda hona b mushkil hai banda hona b mushkil hai
samajhta hai yu nukte kun jo aarif sahib-e-dil hai
KHuda hai masdar-e-mutlaq banda bi us sun hai mushtaq
jidhar dekhe udhar hai haq wale pindar hail hai
KHuda mabud hai mutlaq banda maujud hai mutlaq
u donon mutlaq-e-bar-haq samajh har yak ka mushkil hai
KHuda hai banda banda hai KHuda chashm-e-yaqin so dek
bhi donon ghair yak-e-digar yahi irfan-e-kaamil hai
banda hai apni tafsilat sun zat-e-KHuda mutlaq
sifat hor feal-o-qaul us ka bi mutlaq-pan ko shamil hai
mazahir is ke kyun mutlaq-pane sun howenge KHarij
u surat ghaur sun to dek aaine mein hasil hai
nikat-e-ishq asrar-e-KHuda hain begaman 'qurbi'
jane asrar ko bujya wahi haq sat wasil hai
Ghazal
KHuda hona b mushkil hai banda hona b mushkil hai
Qurbi Velori