KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain
ajal ke mare hue kisi se na bolte hain na chaalte hain
zalil hote hain aib hain KHud jo aib us mein nikalte hain
unhin ke upar hi KHak paDti jo chand par KHak Dalte hain
talawwun-e-aish-o-gham se baham zamin ye nang-e-asman hai
ki munh se hum KHun Dalte hain wo rang-e-nau-roz uchhaalte hain
na ghar ke manind mah har shab maze uDate hain ham-damon se
qarar farda ka rose kar ke hamein qayamat pe Talte hain
piye hue hain sharab-e-saqi chaDhi hai masti-e-pak-bazi
wo baada-kash mein mudam-e-saqi jo duKHt-e-raz ko khangalte hain
mudam barham mizha ke aare saron pe chalte hain aashiqon ke
bana ke gesu-e-mushk-bu ko wo mang jis dam nikalte hain
jala rahe sham-e-bazm sain uTha ke pahlu se apne hum ko
raqib ko misl-e-dil baghal mein miyan-e-mahfil biThaalte hain
kisi ko baaton mein hain lagate kisi ko fiqron mein hain uDate
kalim se ham-kalam ho kar masih ko dam mein Talte hain
bisat-e-ulfat hai wo nirali jahan mein jaan-baKHta khilaDi
jua bhi ye but jo khelte hain to dil ki kauDi uchhaalte hain
junun ki bad-namiyan hain jitni hum aap ai 'shad' uTha rahe hain
na thonpne kohkan ke sar hain na qais-o-wamiq pe Dhaalte hain

Ghazal
KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain
Shad Lakhnavi