KHud wo aate agar yaqin hota
dard pursish talab nahin hota
dil to kya jaan tak fida karte
tum sa lekin koi hasin hota
sajda karte hazar bar magar
koi dar laeq-e-jabin hota
is mein shamil jo hota zikr un ka
ye fasana bahut hasin hota
tere wadon pe bhi yaqin karte
hum ko dil par agar yaqin hota
dil pe jab tak na us ke choT aae
aadmi kaam ka nahin hota
baada marghub-e-dil hai talKHi se
zahr hota jo angbin hota
hasti-e-be-sabaat ka 'sahir'
naqsh koi to dil-nashin hota

Ghazal
KHud wo aate agar yaqin hota
Sahir Hoshiyarpuri