اردو हिंदी
KHud ki KHatir na zamane ke liye zinda hun | Shaahi Shayari
KHud ki KHatir na zamane ke liye zinda hun

Ghazal

KHud ki KHatir na zamane ke liye zinda hun

Qamar Iqbal

;

KHud ki KHatir na zamane ke liye zinda hun
qarz miTTi ka chukane ke liye zinda hun

kis ko fursat jo meri baat sune zaKHm gine
KHak hun KHak uDane ke liye zinda hun

log jine ke gharaz-mand bahut hain lekin
main masiha ko bachane ke liye zinda hun

ruh aawara na bhaTke ye kisi ki KHatir
sare rishton ko bhulane ke liye zinda hun

KHwab TuTe hue ruThe hue lamhe wo 'qamar'
bojh kitne hi uThane ke liye zinda hun