اردو हिंदी
KHizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai | Shaahi Shayari
KHizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai

Ghazal

KHizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai

Mohammad Izhar ul Haq

;

KHizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai
mujhe ab mausamon par e'tibar aane laga hai

kahan dopahr ki hiddat kahan ThanDak shafaq ki
siyah resham mein chandi ka ghubar aane laga hai

khulenge wasl ke dar dusri duniyaon mein bhi
bil-aKHir hijr ke ruKH par nikhaar aane laga hai

mere asbab mein mashkiza-o-KHurjin rakhna
safar ki sham hai aur regzar aane laga hai

falak ko bar bar ahl-e-zamin yun dekhte hain
ki jaise ghaib se koi sawar aane laga hai