KHizan se sina bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
tamam tabir us ko dena aur apne hisse mein KHwab rakhna
har ek zamin se har aasman se har ek zaman se guzarte rahna
kahin pe tare bikher dena kahin koi mahtab rakhna
jo be-ghari ke dukhon se tum bhi udas ho jao haar jao
to aansuon se makan banana aur us ke upar sahab rakhna
jo an-kahe hain jo an-sune hain wo sare manzar bhi dekh loge
bas apni aankhon ki chup mein raushan mohabbaton ke azab rakhna
muhib raaton ke jangalon mein abad ke jaisa sukut ho jab
lahu ka apne diya jalana aur apna chehra kitab rakhna
tum apne andar ki hijraton se niDhaal ho kar jo lauTna to
na KHud se koi sawal karna na pas apne jawab rakhna
ye zindagi to safar hai 'sabir' safar mein jab bhi kisi se milna
tamam sadme bhulate rahna muhaal hoga hisab rakhna

Ghazal
KHizan se sina bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
Sabir Waseem