اردو हिंदी
KHizan ke zaKHm hawa ki mahak se bharne lage | Shaahi Shayari
KHizan ke zaKHm hawa ki mahak se bharne lage

Ghazal

KHizan ke zaKHm hawa ki mahak se bharne lage

Rafiq Khawar Jaskani

;

KHizan ke zaKHm hawa ki mahak se bharne lage
nigar-e-gul ke KHad-o-KHal phir nikharne lage

ye sukhe sahme shajar dekh march aane par
tere badan ki tarah shaKH shaKH bharne lage

gham-e-hayat phir aane lagi sada-e-jaras
dayar-e-shab se tere qafile guzarne lage

udas raat ke darwaze wa hain jaise abhi
dar-e-nigah se dil mein koi utarne lage

sarab-e-dasht-e-tamanna se kaun guzra hai
ki chashma-e-gham-e-dil bund bund jharne lage

ye jhilmilate sitare ye zakhm-e-sina-e-shab
ufuq ke pahle ujale se jaise bharne lage

nujum-e-shab ki zaban par hai gufta-e-'iqbaal'
wo phir se aadam-e-KHaki ki baat karne lage

zamin se dur bhi ab naqsh-e-pa-e-insan se
kai jahan KHala mein nae ubharne lage

wo abr-e-rah-guzar ki tahon mein Duba chand
hawa chale to abhi tair kar ubharne lage

hai us ke aks ki tajsim mere fan se wara
wo aaine ki sada ki tarah bikharne lage

wo abr ho ki dhanak ho koi to ho 'KHawar'
faza ke shane pe jo zulf sa sanwarne lage