KHizan ke chand ne puchha ye jhuk ke khiDki mein
kabhi charagh bhi jalta hai is haweli mein
ye aadmi hain ki sae hain aadamiyyat ke
guzar hua hai mera kis ujaD basti mein
jhuki chaTan phisalti giraft jhulta jism
main ab gira hi gira tang-o-tar ghaTi mein
zamane bhar se nirali hai aap ki mantiq
nadi ko par kiya kis ne ulTi kashti mein
jalae kyun agar itne hi qimti the KHutut
kuredte ho abas rakh ab angeThi mein
ajab nahin jo ugen yan daraKHt pani ke
ki ashk boe hain shab bhar kisi ne dharti mein
meri giraft mein aa kar nikal gai titli
paron ke rang magar rah gae hain muTThi mein
chaloge sath mere aagahi ki sarhad tak
ye rahguzar utarti hai gahre pani mein
main apni be-KHabari se 'shakeb' waqif hun
batao pech hain kitne tumhaari pagDi mein

Ghazal
KHizan ke chand ne puchha ye jhuk ke khiDki mein
Shakeb Jalali