KHizan jab tak chali jati nahin hai
chaman walon ko nind aati nahin hai
jafa jab tak ki chaunkati nahin hai
mohabbat hosh mein aati nahin hai
jo rota hun to hansta hai zamana
jo sota hun to nind aati nahin hai
tumhaari yaad ko allah rakkhe
jab aati hai to phir jati nahin hai
kali bulbul se shoKHi kar rahi hai
zara phulon se sharmati nahin hai
jahan mai-kash bhi jaen Darte Darte
wahan waiz ko sharm aati nahin hai
nahin milti to hangame hain kya kya
jo milti hai to pi jati nahin hai
jawani ki kahani dawar-e-hashr
sar-e-mahfil kahi jati nahin hai
kahan tak shaiKH ko samjhaiyega
buri aadat kabhi jati nahin hai
ghaDi bhar ko jo bahlae mera dil
koi aisi ghaDi aati nahin hai
hansi 'bismil' ki haalat par kisi ko
kabhi aati thi ab aati nahin hai
Ghazal
KHizan jab tak chali jati nahin hai
Bismil Azimabadi