KHirad ne mujh ko ata ki nazar hakimana
sikhai ishq ne mujh ko hadis-e-rindana
na baada hai na surahi na daur-e-paimana
faqat nigah se rangin hai bazm-e-jaanana
meri nawa-e-pareshan ko shairi na samajh
ki main hun mahram-e-raaz-e-durun-e-mai-KHana
kali ko dekh ki hai tishna-e-nasim-e-sahar
isi mein hai mere dil ka tamam afsana
koi batae mujhe ye ghayab hai ki huzur
sab aashna hain yahan ek main hun begana
farang mein koi din aur bhi Thahar jaun
mere junun ko sambhaale agar ye virana
maqam-e-aql se aasan guzar gaya 'iqbaal'
maqam-e-shauq mein khoya gaya wo farzana
Ghazal
KHirad ne mujhko ata ki nazar hakimana
Allama Iqbal