KHirad ke pas KHabar ke siwa kuchh aur nahin
tera ilaj nazar ke siwa kuchh aur nahin
har ek maqam se aage maqam hai tera
hayat zauq-e-safar ke siwa kuchh aur nahin
giran-baha hai to hifz-e-KHudi se hai warna
guhar mein aab-e-guhar ke siwa kuchh aur nahin
ragon mein gardish-e-KHun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin
urus-e-lala munasib nahin hai mujh se hijab
ki main nasim-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin
jise kasad samajhte hain tajiran-e-farang
wo shai mata-e-hunar ke siwa kuchh aur nahin
baDa karim hai 'iqbaal'-e-be-nawa lekin
ata-e-shola sharar ke siwa kuchh aur nahin
Ghazal
KHirad ke pas KHabar ke siwa kuchh aur nahin
Allama Iqbal