اردو हिंदी
KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo humne baDha diye hain | Shaahi Shayari
KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo humne baDha diye hain

Ghazal

KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo humne baDha diye hain

Shauq Bahraichi

;

KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo hum ne baDha diye hain
baDe baDe baniyan-e-jaur-o-sitam ke badhiye biTha diye hain

KHayali ghunche khila diye hain KHayali gulshan saja diye hain
nae madari ne do hi din mein tamashe kya kya dikha diye hain

koi to hai be-KHud-e-tayyush koi hai mahw-e-husul-e-sarwat
khilaune hathon mein rahbaron ke ye kis ne la kar thama diye hain

watan mein sham-o-sahar jo hoti hai parwarish shaiKH o barhaman ki
yatim-KHana mein in yatimon ke nam kis ne likha diye hain

ye shaiKH hain aur ye barhaman hain ye waiz o sadr-e-anjuman hain
zamana pahchanta hai sab ko har ek pe lebal laga diye hain

jafa-shiaron mein shayad aa jae is tarah kuchh asar wafa ka
manga ke murghiyon ke anDe baton ke niche biTha diye hain