khel donon ka chale tin ka dana na paDe
siDhiyan aati rahen sanp ka KHana na paDe
dekh meamar parinde bhi rahen ghar bhi bane
naqsha aisa ho koi peD girana na paDe
mere honTon pe kisi lams ki KHwahish hai shadid
aisa kuchh kar mujhe cigarette ko jalana na paDe
is talluq se nikalne ka koi rasta de
is pahaDi pe bhi barud lagana na paDe
nam ki tarsil se aankhon ki hararat kam ho
sard-KHanon mein koi KHwab purana na paDe
rabt ki KHair hai bas teri ana bach jae
is tarah ja ki tujhe lauT ke aana na paDe
hijr aisa ho ki chehre pe nazar aa jae
zaKHm aisa ho ki dikh jae dikhana na paDe

Ghazal
Khel donon ka chale tin ka dana na paDe
Umair Najmi