KHatm shab qissa-e-muKHtasar na hui
shama gul ho gai sahar na hui
ru-e-shabnam jala jo ghar mera
phul ki kam hansi magar na hui
hashr mein bhi wo kya milenge hamein
jab mulaqat umr-bhar na hui
aaina dekh kar ye kijiye shukr
aap ko aap ki nazar na hui
sab the mahfil mein un ki mahw-e-jamal
ek ko ek ki KHabar na hui
sainkaDon raat ke kiye wade
un ki raat aaj tak 'qamar' na hui
Ghazal
KHatm shab qissa-e-muKHtasar na hui
Qamar Jalalvi

