اردو हिंदी
KHata gaya jo nishana kaman badalta hai | Shaahi Shayari
KHata gaya jo nishana kaman badalta hai

Ghazal

KHata gaya jo nishana kaman badalta hai

Khalid Mahmood

;

KHata gaya jo nishana kaman badalta hai
nahin tamiz-e-rihaish makan badalta hai

kahani ye thi ki sab sath mil ke rahte hain
phir is ke baad achanak saman badalta hai

hum us ki rah mein aankhen bichha ke dekh chuke
magar wo jaan ka dushman kahan badalta hai

amir-e-shahr tanawwo-pasand hai 'KHalid'
libas-e-nau ke mutabiq zaban badalta hai