KHat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai
waifar ki jagah aankh lifafe pe lagi hai
KHakistar-e-tan KHair ho barbaad hui hai
uDti ye KHabar gard-e-parida se sani hai
ham-KHwabi-e-jaanan meri qismat mein likhi hai
sote mein zuleKHa ki tarah aankh lagi hai
lau ishq ki wo hai ki patange ko jala kar
sar mein jo lagi shama ke talwe mein bujhi hai
miT jaega har aadam-e-KHaki ka muraqqa
taswir-e-gili jo hai bigaDne ko bani hai
rone ko main hun barish-e-baran ke muqabil
aansu jo thame dida-e-pur-nam to hansi hai
ji jaun ki mar jaun main is nala-kashi se
nathnon mein hai dam nai ki tarah nak mein ji hai
Tapken hawasen kyun na pasine se hamare
har raungTe se KHwahish-e-dil phuT bahi hai
sine pe dhare hath na mujh soKHta-jaan ke
pahlu mein kaleje ki jagah aag dabi hai
qazi ka irada hai ki hai mai ka muchalka
tauba dar-e-mai-KHana pe dene ko Dhahi hai
ab 'shad' ghazal aur kaho qaid-e-rawi mein
is ke to sab abyat mein ita-e-jali hai

Ghazal
KHat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai
Shad Lakhnavi