KHas-o-KHashak-e-badan sham-e-qaza se raushan
shamma-e-afas ho kyun mauj-e-hawa se raushan
dasht mein dur kahin dur siyah Tilon par
hain mere KHwab kisi ke kaf-e-pa se raushan
warna kis tarah meri rakh munawwar hoti
koi chingari to hai us mein hawa se raushan
kis tarah KHud se jal uTThe hain ye lafzon ke charagh
safha-e-nutq hua kis ki nawa se raushan
jaan us ko bhi ghanimat ki buzurgon ke tufail
raste shahr ke hain ab bhi zara se raushan
meri raaton mein jala shama munajaton ki
meri subhon ko bana harf-e-dua se raushan

Ghazal
KHas-o-KHashak-e-badan sham-e-qaza se raushan
Shafaq Sopori