KHabar nahin kai din se wo diq hai ya KHush hai
KHushi tabhi ho ki jab sun lun dil-ruba KHush hai
zara bhi bigDe to bigDe zamana sab mujh se
KHushi hai wo to har ek dost aashna KHush hai
paDa hun jab se ki bimar ho ke main ghar mein
har ek ghair adawat se phirta kya KHush hai
magar hai us ki inayat to gham nahin kuchh bhi
wo mujh se KHush rahe bas phir to dil mera KHush hai
main ek gham nahin sau jaan par uTha lunga
mere satane se kah de ki dil tera KHush hai
sabab to kuchh nahin malum hae kya main karun
wo aap hi aap kai din se mujh se na-KHush hai
wo baat kaun si hai jo nahin samajhte hum
fareb de ke hamein kyun tu bewafa KHush hai
'nizam' kaun sa din ho jo wan pe jaun main
kahen wo hans ke mizaj ab to aap ka KHush hai
Ghazal
KHabar nahin kai din se wo diq hai ya KHush hai
Nizam Rampuri

