KHamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain
hum samne un ke baiThe hain aur qissa-e-furqat kahte hain
ab husn-o-ishq mein farq nahin ab donon ki ek haalat hai
main un ko dekhta rahta hun wo mujh ko dekhte rahte hain
un ki wo haya wo KHamoshi apni wo mohabbat ki nazren
wo sunne ko sab kuchh sunte hain hum kahne ko sab kuchh kahte hain
is shauq-e-farawan ki yarab aaKHir koi had bhi hai ki nahin
inkar karen wo ya wada hum rasta dekhte rahte hain
hamdard nahin hamraaz nahin kis se kahiye kyunkar kahiye
jo dil pe guzarti rahti hai jo jaan pe sadme sahte hain
aa dekh ki zalim furqat mein kya haal mera behaal hua
aahon se sharare jhaDte hain aankhon se dariya bahte hain
'akbar' shayad dil kho baiThe wo jalse wo ahbab nahin
tanha KHamosh se phirte hain har waqt udas se rahte hain
Ghazal
KHamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain
Jalaluddin Akbar