KHali hai abhi jam main kuchh soch raha hun
ai gardish-e-ayyam main kuchh soch raha hun
saqi tujhe ek thoDi si taklif to hogi
saghar ko zara tham main kuchh soch raha hun
pahle baDi raghbat thi tere nam se mujh ko
ab sun ke tera nam main kuchh soch raha hun
idrak abhi pura taawun nahin karta
dai baada-e-gulfam main kuchh soch raha hun
hal kuchh to nikal aaega haalat ki zid ka
ai kasrat-e-alam main kuchh soch raha hun
phir aaj 'adam' sham se ghamgin hai tabiat
phir aaj sar-e-sham main kuchh soch raha hun
Ghazal
Khaali hai abhi jam main kuchh soch raha hun
Abdul Hamid Adam