KHaksari se jo ghafil dil-e-ghammaz hua
KHak ke parde mein poshida mera raaz hua
le gaya KHat jo kabutar ki tarah tair-e-dil
zulf ke jal mein phanste hi girah-baz hua
saz ke parde mein ki tu ne hukumat sab par
nae qanun se tayyar tera saz hua
hairati fasl-e-chaman mein hui sarsabz aisi
sabza ruKHsara-e-taswir se aaghaz hua
raat sharma ke tere baalon se ru-posh hui
zagh-e-shab ke liye gesu par-e-parwaz hua
koThe par chehra-e-pur-nur dikhaya sar-e-sham
yar se rajat-e-KHurshid ka eajaz hua
chaman-e-dahr mein the dida-e-unqa nargis
jab se main shefta-e-chashm-e-fusun-saz hua
sifat-e-abla mina-e-falak TuT gaya
kya qayamat teri raftar ka andaz hua
jab hua mahw-e-ada bagh mein wo KHusraw-e-husn
phulon ke aks se gulgun faras-e-naz hua
aap munh dekhne ko aaina-e-dil manga
tasfiya us but-e-kafir se KHuda saz hua
arsa-e-dahr mein bandha jo tilism-e-ulfat
dushman-e-jaan falak-e-shobada-pardaz hua
jaan leta hai teri tir-e-nigah se sab ki
ai pari paik-e-qaza bhi qadar-andaz hua
sumbul-e-ah hua turra-e-shamshad-e-bahisht
ham-baghal mujh se jo wo sarw sar-afraaz hua
us se kuchh kah ke mujhe zabh kiya baaton mein
tez-tar tegh-e-ajal se lab-e-ghammaz hua
log karte hain kamal-e-ruKH-e-zeba ka wasf
KHalq ko yaad tera mushaf-e-eajaz hua
ai mughanni dil-e-nadan nikal aaya bahar
aaj be-parda zamana mein tera saz hua
roz-e-furqat ne kiya tair-e-dil ko haijaan
gul-e-KHurshid mujhe jangal-e-shahbaz hua
bosa manga na gaya honTon ka ai rashk-e-pari
rang missi ka mujhe surma-e-awaz hua
nashsha-e-ghamza-o-andaz se sarshaar hun main
kasa-e-umr-e-rawan jam-e-mai-e-naz hua
tar-dimaghi jo baDhe nashsha-e-mani ki 'munir'
kasa-e-sar mujhe jam-e-mai-e-shiraaz hua
Ghazal
KHaksari se jo ghafil dil-e-ghammaz hua
Muneer Shikohabadi