kaun sa tan hai ki misl-e-ruh is mein tu nahin
kaun gul hai jo tera maskan ba-rang-e-bu nahin
jam-e-nargis mein kahan shabnam jo nikle aaftab
yar ke aage meri aankhon mein ek aansu nahin
yaad-e-gesu mein hua mera ye dhajji sa badan
mujh pe phabti kahte hain mubaf hai gesu nahin
jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka
dekh kar kahte hain sab tawiz hai bazu nahin
dekhe hain hansne mein jis din se dur-e-dandan-e-yar
chain misl-e-gauhar-e-ghaltan kisi pahlu nahin
ishq mein badmast hun main par koi waqif nahin
nashsha hai jam-e-mai-e-ulfat mein lekin bu nahin
zulf-e-jaanan mein nahin koi dil-e-wahshi asir
ye ajab tatar hai jo ek bhi aahu nahin
ho gaya hai ye qiran-e-aftab o mah-e-nau
yar ke ruKHsar-e-atish-rang par abru nahin
ho gaya hai misl-e-mu tar-e-nigah apna siyah
aage aankhon ke sanam jab se tere gesu nahin
raat din naqus kahte hain ba-awaz-e-buland
dair se behtar hai kaba gar buton mein tu nahin
qumriyan diwani hain kyunkar gale mein ho na tauq
bagh mein ek sarw misl-e-qamat-e-dil-ju nahin
Ghazal
Kaun sa tan hai ki misl-e-ruh isMein tu nahin
Imam Bakhsh Nasikh