kaTte hi sang-e-lafz girani nikal paDe
shisha uTha ki ju-e-maani nikal paDe
pyaso raho na dasht mein barish ke muntazir
maro zamin pe panw ki pani nikal paDe
mujh ko hai mauj mauj girah bandhne ka shauq
phir shahr ki taraf na rawani nikal paDe
hote hi sham jalne laga yaad ka alao
aansu sunane dukh ki kahani nikal paDe
'sajid' tu phir se KHana-e-dil mein talash kar
mumkin hai koi yaad purani nikal paDe
Ghazal
KaTte hi sang-e-lafz girani nikal paDe
Iqbal Sajid