kashida sar se tawaqqo abas jhukaw ki thi
bigaD gaya hun ki surat yahi banaw ki thi
wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi
wo mujh se pyar na karta to aur kya karta
ki dushmani mein bhi shiddat isi lagaw ki thi
magar ye dard-e-talab bhi sarab hi nikla
wafa ki lahr bhi jazbaat ke bahaw ki thi
akele par utar kar ye naKHuda ne kaha
musafiro yahi qismat shikasta naw ki thi
charagh-e-jaan ko kahan tak bacha ke hum rakhte
hawa bhi tez thi manzil bhi chal-chalaw ki thi
main zindagi se nabard-azma raha hun 'faraaz'
main jaanta tha yahi rah ek bachaw ki thi
Ghazal
Kashida sar se tawaqqo abas jhukaw ki thi
Ahmad Faraz