karte karte imtizaj-e-kaba-o-but-KHana hum
us jagah pahunche ki ho kar rah gae diwana hum
sans le sakte nahin afsos aazadana hum
jaane kab se hain asir-e-kaba-o-but-KHana hum
wo mohabbat hi nahin jis mein na hon shikwe-gile
ek kahani tum sunae jao ek afsana hum
der-pa nikli na fanus-e-KHirad ki raushni
baDh gai wahshat bil-aKHir ho gae diwana hum
har do-jaanib ehtiyat achchhi hai jab tak ho sake
yun to main aagah sab tum shama ho parwana hum
ab haqiqat kya kahen kis se kahen kyun kar kahen
kuchh to dekha hai ki jis se ho gae diwana hum
daman-e-dil shabnam-o-gul se pakaD leta hai aag
KHilqatan hum hain jawab-e-fitrat-e-parwana hum
pasban mafhum-o-mani ko bayan karte rahen
sunne wale sun chuke hain kah chuke afsane hum
aa chuka hoga sar-e-tur-e-wafa musa ko hosh
ab tujhe taklif denge jalwa-e-jaanana hum
jite-ji ki anjuman hai jite-ji ka soz-o-saz
ho gain jis waqt band aankhen na phir duniya na hum
hum jo miT jaen to farq-e-dair-o-kaba bhi miTe
ek parda hain miyan-e-kaba-e-but-KHana hum
iltija hi iltija baqi hai shikwa ho chuke
ab mohabbat tum se karte hain parastarana hum
jab wo karte hain mohabbat par musalsal guftugu
aisa kuchh mahsus hota hai ki hain begana hum
Ghazal
Karte karte imtizaj-e-kaba-o-but-KHana hum
Ehsan Danish

