karb ke shahr se nikle to ye manzar dekha
hum ko logon ne bulaya hamein chhu kar dekha
wo jo barsat mein bhiga to nigahen uTThin
yun laga hai koi tursha hua patthar dekha
koi saya bhi na sahme hue ghar se nikla
hum ne TuTi hui dahliz ko aksar dekha
soch ka peD jawan ho ke bana aisa rafiq
zehn ke qad ne use apne barabar dekha
jab bhi chaha hai ki malbus-e-wafa ko chhu len
misl-e-KHushbu koi uDta hua paikar dekha
raqs karte hue lamhon ki zaban gung hui
apne sine mein jo utra hua KHanjar dekha
zindagi itni pareshan hai ye socha bhi na tha
us ke atraf mein sholon ka samundar dekha
raat bhar KHauf se chaTKHe the sahar ki KHatir
subh-dam KHud ko bikharte hue dar par dekha
wo jo uDti hai sada dast-e-wafa mein 'afzal'
usi miTTi mein nihan dard ka gauhar dekha
Ghazal
Karb ke shahr se nikle to ye manzar dekha
Afzal Minhas