اردو हिंदी
Karb hare mausam ka tab tak sahna paDta hai | Shaahi Shayari
karb hare mausam ka tab tak sahna paDta hai

Ghazal

Karb hare mausam ka tab tak sahna paDta hai

Azad Gulati

;

karb hare mausam ka tab tak sahna paDta hai
patjhaD mein to pat ko aaKHir jhaDna paDta hai

kab tak auron ke sanche mein Dhalte jaenge
kisi jagah to hum ko aaKHir uDna paDta hai

sirf andhere hi se diye ki jang nahin hoti
tez hawaon se bhi is ko laDna paDta hai

sahi-salamat aage baDhte rahne ki KHatir
kabhi kabhi to KHud bhi pichhe haTna paDta hai

sher kahen to aql-o-junun ki sarhad par ruk kar
lafzon mein jazbon ke nagon ko jaDna paDta hai

jiwan jina itna bhi aasan nahin 'azad'
sans sans mein reza reza kaTna paDta hai