karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha 
na zindagi ki KHushi hi achchhi na be-sabaati ka gham hi achchha 
talash ki sai-e-raigan par nazar to aate hain gharq-e-hairat 
suKHan-taraazi-e-rahnuma se sukut-e-naqsh-e-qadam hi achchha 
ziya-e-nur-e-yaqin hai rahbar hayat ki tera wadiyon mein 
bujha ke dekhen bujhane wale charagh-e-taq-e-haram hi achchha 
talab ki azmat talab ki zahmat talab ka hasil talab ki lazzat 
na KHauf-e-sud-o-ziyan hi achchha na KHatra-e-besh-o-kam hi achchha 
maal kya hoga baghbano sukun-faramosh irtiqa ka 
nazar bhi aane lagi chaman mein bahaar-e-bagh-e-iram hi achchha 
mujhe usi par hai naz hamdam shikasta saghar ye hai to apna 
kise sunata hai zikr-e-mazi bala se tha jam-e-jam hi achchha 
hawas 'yaqub' nukta-chin kyun nazar hi to hai ye apni apni 
nigah-e-zauq-e-buland mein hai sar-e-itaat ka KHam hi achchha
        Ghazal
Karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha
Yaqoob Usmani

