kar sair apne dil ki hai nur ka tamasha
han dekh ban ke musa is tur ka tamasha
nazir wahi nazar bhi manzur bhi wahi hai
nazzare ka hai mazhar manzur ka tamasha
ye qurb buad kya hai taqrib-e-ma-siwa hai
hai tark-e-ma-siwa mein ye dur ka tamasha
surat ka shefta ho zahir ho harf mani
mansur ki hai surat mansur ka tamasha
tamir-e-waqt mein hai virani-e-wasawas
viran-kade mein dekha mamur ka tamasha
KHum-KHana ishq ka hai pir-e-mughan ki sohbat
rindan-e-mast dekha maKHmur ka tamasha
arini-o-lan-tarani hai sirr-e-ishq 'saqi'
raaz-o-niyaz mein hai mastur ka tamasha
Ghazal
Kar sair apne dil ki hai nur ka tamasha
Pandit Jawahar Nath Saqi

