kali par muskurahaT aaj bhi malum hoti hai 
magar bimar honTon par hansi malum hoti hai 
asiri ki KHushi kis ko KHushi malum hoti hai 
charaghan ho raha hai tirgi malum hoti hai 
ba-zahir ru-e-gul par tazgi malum hoti hai 
magar barbaad chehre ki KHushi malum hoti hai 
nasim-e-subh tu kya sone walon ko jagaegi 
abhi to subh KHud soi hui malum hoti hai 
chaman ka lutf khota hai chaman mein ajnabi hona 
KHizan bhi apne gulshan ki bhali malum hoti hai 
tujhe hum dopahar ki dhup mein dekhenge ai ghunche 
abhi shabnam ke rone par hansi malum hoti hai 
chalin garm aandhiyan suraj bhi chamka KHak-e-maqtal par 
wahi KHun-e-shahidan ki nami malum hoti hai 
zara ai mai-kasho anjam-e-mahfil par nazar rakhna 
ki daur-e-aKHiri mein nind si malum hoti hai 
mah o anjum ke KHaliq kuchh nae tare farozan kar 
ki phir aafaq mein be-raunaqi malum hoti hai 
samundar bhi hai dariya bhi hai chashme bhi hain nahren bhi 
aur insan hai ki ab tak tishnagi malum hoti hai 
zamane ki taraqqi tishna-e-takmil hai ya rab 
abhi ek mard-e-momin ki kami malum hoti hai 
na jao dekh lo sham-e-sahar ka jhilmilana bhi 
ye mahfil ki bahaar-e-aKHiri malum hoti hai 
to phir karna hi paDta hai wahan iqrar qudrat ka 
jahan insan ko apni kami malum hoti hai 
meri ek aah par jo phul daman chaak karte the 
ab un ko mere nalon par hansi malum hoti hai 
ba-zahir chashm-e-saqi mahw-e-KHwab-e-naz hai lekin 
jawab-e-nargis-e-bedar bhi malum hoti hai 
hamesha KHush rahe un ki nigahon ki masihai 
ab apni zindagi bhi zindagi malum hoti hai 
mohabbat hai zarur un se magar meri matanat ko 
na jaane kyun ye nisbat bhi buri malum hoti hai 
'shafiq' aasar hain mashriq ki jaanib taza kirnon ke 
ye meri sham-e-nau ki chandni malum hoti hai
        Ghazal
Kali par muskurahaT aaj bhi malum hoti hai
Shafiq Jaunpuri

