اردو हिंदी
Kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein | Shaahi Shayari
kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein

Ghazal

Kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein

Hasan Abbas Raza

;

kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein
ek zalzala wajud ke andar laga hamein

aisa na ho ki Dhang hi uDne ka bhul jaen
sayyaad ek din ke liye par laga hamein

aate dinon mein tera hawala to ban sakin
katba bana ke qabr ke upar laga hamein

us ka firaq itna baDa saneha na tha
lekin ye dukh pahaD barabar laga hamein

kal aainon ne rok ke mujh se kaha 'hasan'
kuchh din hisar-e-zat se bahar laga hamein