kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha
main jis ko DhunDhta tha mere aaine mein tha
jis ki nigah mein thin sitaron ki manzilen
wo mir-e-kaenat usi qafile mein tha
rahgir sun rahe the ye kis jashn-e-nau ka shor
kal raat mera zikr ye kis silsile mein tha
raqsan the rind jaise bhanwar mein shafaq ke phul
jo panw paD raha tha baDe qaede mein tha
chhiDka jise adam ke samundar pe aap ne
sahra tamam KHak ke us bulbule mein tha
mannat-guzar-e-ahl-e-hawas ho saka na dil
hail mera zamir mere raste mein tha
hai farz is ata-e-junun ka bhi shukriya
lekin ye be-shumar karam kis sile mein tha
ab aa ke kah rahe ho ki ruswai se Daro
ye baal to kabhi ka mere aaine mein tha
sunta hun sar-nigun the farishte mere huzur
main jaane apni zat ke kis marhale mein tha
hain sabt mere dil pe zamane ki Thokaren
main ek sang-e-rah tha jis raste mein tha
kuchh bhi na tha azal mein ba-juz shoala-e-wajud
han dur tak adam ka dhuan hashiye mein tha
main ne jo apna nam pukara to hans paDa
ye mujh sa kaun shaKHs mere raste mein tha
thi nuqta-e-nigah tak aazadi-e-amal
parkar ki tarah main rawan daere mein tha
zanjir ki sada thi na mauj-e-shamim-e-zulf
ye kya tilism un ke mere fasle mein tha
ab ruh e'tiraf-e-badan se hai munharif
ek ye bhi sang-e-mil mere raste mein tha
'danish' kai nasheb-e-nazar se guzar gae
har rind aaine ki tarah mai-kade mein tha
Ghazal
Kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha
Ehsan Danish