اردو हिंदी
Kal raat ek ajib paheli hui hawa | Shaahi Shayari
kal raat ek ajib paheli hui hawa

Ghazal

Kal raat ek ajib paheli hui hawa

Ahmad Khayal

;

kal raat ek ajib paheli hui hawa
jalte hue diyon ki saheli hui hawa

shiddat se hanp hanp ke murda si ho chuki
wahshat-zada charagh se kheli hui hawa

palTi to dastan bhi palTegi ek dam
wadi ki band samt dhakeli hui hua

sab pat jhaD chuke hain diye bhi shikasta hain
raqs o junun ki rut mein akeli hui hua

khiDki se aate hi mare mathe ko chhuti hai
us mehrban ki si hatheli hui hua