kal jo ruKH-e-araq-fishan yar ne Tuk dikha diya
pani chhiDak ke KHwab se fitne ko phir jaga diya
us ke sharar-e-husn ne shoala jo ek dikha diya
tur ko sar se panw tak phunk diya jala diya
phir ke nigah chaar-su Thahri usi ke ru-ba-ru
us ne to meri chashm ko qibla-numa bana diya
mera aur us ka iKHtilat ho gaya misl-e-abr-o-barq
us ne mujhe rula diya main ne use hansa diya
main hun patang kaghzi Dor hai us ke hath mein
chaha idhar ghaTa diya chaha udhar baDha diya
teshe ki kya majal thi ye jo tarashe be-sutun
tha wo tamam dil ka zor jis ne pahaD Dha diya
guzre jo su-e-KHanqah wan bhi ba-shakl-e-jaanmaz
ahl-e-salah-o-zuhd ko farsh kiya bichha diya
nikle jo rah-e-dair se ek hi nigah-e-mast mein
gabr ka sabr kho diya but ko bhi but bana diya
shikwa hamara hai baja muft-baron se kis liye
hum ne to apna dil diya hum ko kisi ne kya diya
sun ke hamare haal ka yar ne ek suKHan 'nazir'
hans ke kaha ki bas ji bas tum ne to sar phira diya
Ghazal
Kal jo ruKH-e-araq-fishan yar ne Tuk dikha diya
Nazeer Akbarabadi