kal gae the tum jise bimar-e-hijran chhoD kar
chal basa wo aaj sab hasti ka saman chhoD kar
tifl-e-ashk aisa gira daman-e-mizhgan chhoD kar
phir na uTTha kucha-e-chaak-e-gareban chhoD kar
kyunki nikle tera us ka dil mein paikan chhoD kar
jae baize ko kahan ye murgh-e-parran chhoD kar
jis ne ho lazzat uThai zaKHm tegh-e-ishq ki
kab wo marham-dan ko DhunDe namak-dan chhoD kar
said-e-dil ko kyunki chhoDe jab ki dikhla de na tu
machhliyan dast-e-hinai mein meri jaan chhoD kar
sard-mehri se kisi ki aage hi ji sard hai
yan se haT ja dhup ai abr-e-KHiraman chhoD kar
dekhiye kya ho ki hai ab jaan ke pichhe paDi
dil ko ai kafir teri zulf-e-pareshan chhoD kar
ai dil us ke tir ke hamrah sine se nikal
warna pachhtaega tu ye sath nadan chhoD kar
kyun na ram kar jaen aahu aise wahshi se tere
sher bhagen jis ke nalon se nistan chhoD kar
surKHi-e-pan dekh le zahid jo dandan par tere
uTh khaDa ho hath se tasbih-e-marjaan chhoD kar
pesh-KHema le ke nikla gard-baad-e-dur-rau
hai jo sargarm-e-safar tan ko meri jaan chhoD kar
gar KHuda dewe qanaat mah-e-do-hafta ki tarah
dauDe sari ko kabhi aadhi na insan chhoD kar
saghar-e-dil bechta aaya hun kho mat hath se
cukta hai kyun ye jins-e-dast-gardan chhoD kar
kaam ye tera hi tha rahmat ho ai abr-e-karam
warna jae dagh-e-isyan mera daman chhoD kar
paDh ghazal ai 'zauq' koi garm si ab to na ja
jaanib-e-mazmun tarz-e-tufta-jaanan chhoD kar

Ghazal
Kal gae the tum jise bimar-e-hijran chhoD kar
Sheikh Ibrahim Zauq