kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujh se
hum bhare shahr ki KHalwat mein mile hain tujh se
sae se saya guzarta hua mahsus hua
ek ajab KHwab ki hairat mein mile hain tujh se
itna shaffaf nahin hai abhi aks-e-dil-o-jaan
aaine gard-e-masafat mein mile hain tujh se
is qadar tang nahin wusat-e-sahra-e-jahan
hum to ek aur hi wahshat mein mile hain tujh se
juz gham-e-ishq koi kaam nahin hai so ai husn
jab mile ek nai haalat mein mile hain tujh se
waqt ka sail-e-rawan rok hi lenge shayad
wo jo phir milne ki hasrat mein mile hain tujh se
itna KHush-fahm na ho apni pazirai par
hum kisi aur mohabbat mein mile hain tujh se
yaad ka zaKHm bhi hum tujh ko nahin de sakte
dekh kis aalam-e-ghurbat mein mile hain tujh se
ab agar lauT ke aae to zara Thahrenge
hum musafir hain so ujlat mein mile hain tujh se
Ghazal
Kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujhse
Saleem Kausar