kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai
kaha man ki duaon mein baDi tasir hoti hai
kaho kya baat karti hai kabhi sahra ki KHamoshi
kaha us KHamushi mein bhi to ek taqrir hoti hai
kaha main ne ki ranj-e-be-makani kab satata hai
kaha jab maqbare ya qasr ki tamir hoti hai
kaha main ne hisar-e-zat mein ye nafs ki duniya
jawab aaya ki sab kuchh haar kar tasKHir hoti hai
kaha ye KHwahish-o-targhib aur ye KHun ke rishte
kaha zindaniyon ke panw mein zanjir hoti hai
kaha wo jo sawali aankh ki putli pe likkhi thi
kaha sab se moassir to wahi tahrir hoti hai
kaha ahl-e-KHirad 'anjum' tumhein be-kar kahte hain
kaha sikke ki apne des mein tauqir hoti hai
Ghazal
Kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai
Anjum Khaleeq