اردو हिंदी
Kahne mein nahin hain wo hamare kai din se | Shaahi Shayari
kahne mein nahin hain wo hamare kai din se

Ghazal

Kahne mein nahin hain wo hamare kai din se

Mirza Shauq Lakhnavi

;

kahne mein nahin hain wo hamare kai din se
phirte hain unhen ghair ubhaare kai din se

jalwe nahin dekhe jo tumhaare kai din se
andhere hain nazdik hamare kai din se

be-subh nikalta nahin wo raat ko ghar se
KHurshid ke andaz hain sare kai din se

hum jaan gae aankh milao na milao
bigDe hue tewar hain tumhaare kai din se

kis chaak-e-gareban ka kiya aap ne matam
kapDe bhi nahin tum ne utare kai din se

diwana hai saudai hai farmate hain aksar
in namon se jate hain pukare kai din se

dil phans gaya hai aap ki zulfon mein hamara
hain banda-e-be-dam tumhaare kai din se

munh gal pe rakh dete hain sote mein chimaT kar
kuchh kuchh to haya kam hui bare kai din se

mehndi bhi hai missi bhi hai lakha bhi hai lab par
kuchh rang hain be-rang tumhaare kai din se

Dar se tere kakul ke nahin chalte hain raste
dam band hain is sanp ke mare kai din se

aaKHir meri aahon ne asar apna dikhaya
ghabrae hue phirte ho pyare kai din se

kis kushta-e-kakul ka rakha sog meri jaan
gesu nahin kyun tum ne sanware kai din se

pamal karoge kisi warafta ko apne
aTkheliyan hain chaal mein pyare kai din se

ek shab mere ghar aan ke mehman rahe the
aae nahin is sharm ke mare kai din se

phir 'shauq' se kya us but-e-ayyar se bigDi
hote nahin baham jo ishaare kai din se