kahna na mana kucha-e-qatil mein rah gaya
achchha hua jo dil kisi mushkil mein rah gaya
kya puchhte ho aise musafir ki sarguzisht
jis ko ki dil bhi chhoD ke manzil mein rah gaya
nikla tha ban sanwar ke bahut chaudhwin ka chand
phir bhi wo tere ruKH ke muqabil mein rah gaya
qatil ne tegh myan mein kuchh soch kar rakhi
thoDa sa jab ki dam tan-e-bismil mein rah gaya
dirham mila bhi munim-e-kaj-KHulq se agar
ek dagh ban ke wo kaf-e-sail mein rah gaya
itna bata de us ke uThane se faeda
taswir ban ke jo teri mahfil mein rah gaya
kya jaane bahr-e-ishq ki haalat wo bad-nasib
dam toD kar jo daman-e-sahil mein rah gaya
fikr us ki ranj us ka ummid us ki kuchh na puchh
jo sar jhuka ke kucha-e-qatil mein rah gaya
tabir-e-KHwab zulf-e-musalsal thi kya yahi
'alim' jakaD ke main jo salasil mein rah gaya
Ghazal
Kahna na mana kucha-e-qatil mein rah gaya
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi