اردو हिंदी
Kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun | Shaahi Shayari
kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun

Ghazal

Kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun

Yunus Ghazi

;

kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun
mo'tariz aap lahu par hain to pani likkhun

un ko apna sa lage aur ho qissa mera
dil ki KHwahish hai ki ek aisi kahani likkhun

dagh jitne bhi hain gulzar-e-tamanna mein mere
phul ki tarah unhen teri nishani likkhun

lakh afsane tarashe hain nae duniya ne
main to jab jab bhi likhun baat purani likhun

mere KHame ko ye taufiq ata kar yarab
KHun ko KHun likhun pani ko pani likkhun

ishq hai zist ki rag rag mein lahu ki manind
jawedan ishq ko kis tarah main fani likkhun

han main 'ghazi' hun mere fan ka taqaza hai yahi
KHun roe jo paDhe wo bhi kahani likkhun