kahin to gard uDe ya kahin ghubar dikhe
kahin se aata hua koi shahwar dikhe
KHafa thi shaKH se shayad ki jab hawa guzri
zamin pe girte hue phul be-shumar dikhe
rawan hain phir bhi ruke hain wahin pe sadiyon se
baDe udas lage jab bhi aabshaar dikhe
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamari taraf
kisi ki aankh mein hum ko bhi intizar dikhe
koi tilismi sifat thi jo is hujum mein wo
hue jo aankh se ojhal to bar bar dikhe
Ghazal
Kahin to gard uDe ya kahin ghubar dikhe
Gulzar