اردو हिंदी
Kahin gireban koi chaak hone wala hai | Shaahi Shayari
kahin gireban koi chaak hone wala hai

Ghazal

Kahin gireban koi chaak hone wala hai

Javed Shaheen

;

kahin gireban koi chaak hone wala hai
ye hadsa sar-e-aflak hone wala hai

pahunch raha hun kisi bhed ke bahut nazdik
ki jaise apna hi idrak hone wala hai

utarne wali hai ab os din ke jaane par
andhera sham ka namnak hone wala hai

hai sard itna makan ab ki bar jaDe mein
badan bhi aag ka KHashak hone wala hai

kuchh aa raha hai asar mai ka us ki baaton mein
ye lag raha hai wo be-bak hone wala hai

ba-ghaur dekh raha hun main us ka tarz-e-amal
wo kar-e-ishq mein chaalak hone wala hai

main aap apni KHarabi ka hun sabab 'shahin'
jo KHud banaya tha ab KHak hone wala hai