kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai
main charagh wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ki chhanw mein
mere sath tha tujhe jagna teri aankh kaise jhapak gai
bhala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle
na kabhi hamare qadam baDhe na kabhi tumhaari jhijak gai
tere hath se mere honT tak wahi intizar ki pyas hai
mere nam ki jo sharab thi kahin raste mein chhalak gai
tujhe bhul jaane ki koshishen kabhi kaamyab na ho sakin
teri yaad shaKH-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai
Ghazal
Kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai
Bashir Badr