kahin aah ban ke lab par tera nam aa na jae
tujhe bewafa kahun main wo maqam aa na jae
zara zulf ko sambhaalo mera dil dhaDak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-dam aa na jae
jise sun ke TuT jae mera aarzu bhara dil
teri anjuman se mujh ko wo payam aa na jae
wo jo manzilon pe la kar kisi ham-safar ko luTen
unhin rahzanon mein tera kahin nam aa na jae
isi fikr mein hain ghaltan ye nizam-e-zar ke bande
jo tamam-e-zindagi hai wo nizam aa na jae
ye mah o nujum hans len mere aansuon pe 'jalib'
mera mahtab jab tak lab-e-baam aa na jae

Ghazal
Kahin aah ban ke lab par tera nam aa na jae
Habib Jalib