kahan wo ab lutf-e-bahami hai mohabbaton mein bahut kami hai
chali hai kaisi hawa ilahi ki har tabiat mein barhami hai
meri wafa mein hai kya tazalzul meri itaat mein kya kami hai
ye kyun nigahen phiri hain mujh se mizaj mein kyun ye barhami hai
wahi hai fazl-e-KHuda se ab tak taraqqi-e-kar-e-husn o ulfat
na wo hain mashq-e-sitam mein qasir na KHun-e-dil ki yahan kami hai
ajib jalwe hain hosh dushman ki wahm ke bhi qadam ruke hain
ajib manzar hain hairat-afza nazar jahan thi wahin thami hai
na koi takrim-e-bahami hai na pyar baqi hai ab dilon mein
ye sirf tahrir mein Dear sir hai ya janab-e-mukarrami hai
kahan ke muslim kahan ke hindu bhulai hain sab ne agli rasmen
aqide sab ke hain tin-terah na gyarahwin hai na ashTami hai
nazar meri aur hi taraf hai hazar rang-e-zamana badle
hazar baaten banae naseh jami hai dil mein jo kuchh jami hai
agarche main rind-e-mohtaram hun magar ise sheKH se na puchho
ki un ke aage to is zamane mein sari duniya jahannami hai
Ghazal
Kahan wo ab lutf-e-bahami hai mohabbaton mein bahut kami hai
Akbar Allahabadi