kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange
riwayaton ko na maut aae to zindagi intishaar mange
safar ki ye kaisi wusaten hain ki rasta hai na koi manzil
thakan ka ehsas bhi na utre qadam qadam rahguzar mange
talash ke bawajud sach hai ki mere hisse mein kuchh na aaya
ki main ne KHushiyan hazar DhunDin ki dard main ne hazar mange
agar wo dena hi chahta hai to manzilon ka suragh de de
agar use mangna hi Thahre to raston ka ghubar mange
kabhi achanak hi gher lete hain rah mein na-guzir lamhe
koi kahan tak panah DhunDe koi kahan tak farar mange
sazaen tajwiz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai
ki koi 'balraj' apni marzi se jine ka iKHtiyar mange
Ghazal
Kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange
Balraj Bakshi