kaha jo hum ne hamen dar se kyun uThate ho
kaha ki is liye tum yan jo ghul machate ho
kaha laDate ho kyun hum se ghair ko hamdam
kaha ki tum bhi to hum se nigah laDate ho
kaha jo haal-e-dil apna to us ne hans hans kar
kaha ghalat hai ye baaten jo tum banate ho
kaha jatate ho kyun hum se roz naz-o-ada
kaha ki tum bhi to chahat hamein jatate ho
kaha ki arz karen hum pe jo guzarta hai?
kaha KHabar hai hamein kyun zaban pe late ho
kaha ki ruThe ho kyun hum se kya sabab is ka
kaha sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho
kaha ki ham nahin aane ke yan to us ne 'nazir'
kaha ki socho to kya aap se tum aate ho
Ghazal
Kaha jo humne haMein dar se kyun uThate ho
Nazeer Akbarabadi