kabhi tum bhigne aana meri aankhon ke mausam mein
banana mujh ko diwana meri aankhon ke mausam mein
barasta bhigta ho jab koi lamha nigahon mein
wahin tum bhi Thahar jaana meri aankhon ke mausam mein
kai mausam guzare hain unhon ne dhup chhanw ke
naya mausam koi lana meri aankhon ke mausam mein
sunahri dhup phaili ho kahin yaadon ke jangal mein
to kirnen ban ke muskana meri aankhon ke mausam mein
kabhi do-chaar ho jaen meri nazren jo tum se to
chhalak jaega paimana meri aankhon ke mausam mein
meri aankhon ke sab mausam hain tanhai se ghabrae
na tanha chhoD kar jaana meri aankhon ke mausam mein
hain yun to fasle kitne zamanon ke makanon ke
magar milte ho rozana meri aankhon ke mausam mein
Ghazal
Kabhi tum bhigne aana meri aankhon ke mausam mein
Farah iqbal