kabhi to baiThun hun ja aur kabhi uTh aata hun
manun hun aap hi phir aaphi ruTh jata hun
moamla to zara dekhiyo tu chahat ka
mujhe satawe hai wo us ko main satata hun
ruka hua wo mujhe dekh kar jo bole hai
to bolta nahin main us se sar hilata hun
par itne mein jo main sochun hun ye na ruk jawe
zaban pe apni bhi ik-adh harf lata hun
kahe hai dil ye ki aise se dosti hai abas
buraiyon ka jo us ki KHayal lata hun
ye kah ke baiTh rahun hun jo apne ghar mein zara
to dil kahe hai ye ghabra ke main to jata hun
jab apna haal ye dekhun hun main to hona chaar
jhapaT ke pichhe se dil ke qadam uThata hun
bata tu 'mushafi' kya tujh ko ho gaya kam-baKHt
kuchh in dinon tera chehra taghir pata hun
Ghazal
Kabhi to baiThun hun ja aur kabhi uTh aata hun
Mushafi Ghulam Hamdani

